아래는 노래 가사입니다. Fursat Hai Aaj Bhi , 아티스트 - Arjun Kanungo 번역 포함
번역이 포함된 원본 텍스트
Arjun Kanungo
Bhoolna kya, bhulaana kya?
Roothna kya, manaana kya?
Dil ko behlaane ka
Aur bas hai bahaana kya?
Zindagi ka thikaana kya?
Dil kabhi tha sayaana kya?
Rooh mein tu hai mehfooz
Phir tera jaana kya?
Tujhe khoya nahin, tha kabhi…
Tu hai yahin kahin, aaj bhi…
Fursat ka jo har lamhaa hai
Mujhse bas ye kehta hai
Aadat teri baaton ki, aaj bhi
Aaj bhi…
Teri ankhon ne jo dekhe they
Meri ankhon mein wo sapne hain
Sarhad nahin khwaabon ki, aaj bhi
Tu hai aaj bhi…
Bin bulaaye ye aana kya?
Aa gaye toh hai jaana kya?
Teri yaadon se behtar hai
Dil ka thikaana kya?
Tere mere wo pal meethey
Kum lagey saath jo beetey
Par tu hai door ye meri
Ankhon ne maana kya?
Tujhe bhoola nahin tha kabhi
Tu hai mere kareeb aaj bhi
Fursat ka jo har lamhaa hai
Mujhse bas ye kehta hai
Aadat teri baaton ki, aaj bhi
Mmmmm… Aaj bhi!
Teri ankhon ne jo dekhe they
Meri ankhon mein wo sapne hain
Sarhad nahin khwaabon ki, aaj bhi
Tu hai aaj bhi…
다양한 언어로 된 노래
모든 언어로 고품질 번역
몇 초 만에 원하는 텍스트를 찾으세요