아래는 노래 가사입니다. Kaisa Yeh Sawaal? , 아티스트 - Gravity 번역 포함
번역이 포함된 원본 텍스트
Gravity
Pralay, zindagi ka atal satya hai
Ashakya hai, rahasya hai
Dharti aur prakriti ka jashna hai
Pralay paheli, yeh prashna hai
Zindagi ka atal satya hai
Ashakya hai, rahasya hai
Dharti aur prakriti ka jashna hai
Pralay paheli, yeh prashna hai
Sawaal, jawaab? Sawaal, jawaab? Kaisa sawaal yeh?
Sawaal, jawaab? Sawaal, jawaab? Kaisa sawaal yeh? (x2)
Jaane anjaane mai khud ki tabahi, aur khudka kasoor
Khudke ilahi hai bante fir khudpe hai karte ghuroor
Khud hi banate yeh niyam, fir khud hai yeh tode usool
Karte hai pyaar khudse fir khudko na karte qabool!
Aa fir, yeh aatish ab kar dega sabko tabah
Yeh aakhir mai tujhko hi dega daba
Yeh maahir hai karne mai sabko gumrah
Yeh kaafir par khudko na yeh kho chuka
Zinda hu par aatma yeh bojh hai
Parmaatma ke dhong par yeh naachte har roz hai
Bimaar hai yeh log, saare khaaste, kharochte
Yeh raaste marod apne aap ko dabojte
Mrityu jakad ki pakad mai hai prtihvi
Sabke akkad ke hi jadd se hai nikli
Ek se ek, anek vivaad hai, kuch na karo toh astitva barbaad hai
Jivan shatranj ka sheh aur maat hai
Yoni se nikle uss putra ka shraap hai
Jiske nasib mai paap hi paap hai
Hai toh garibi na koi baap hai
Sawaal, jawaab? Sawaal, jawaab? Kaisa sawaal yeh?
Sawaal, jawaab? Sawaal, jawaab? Kaisa sawaal yeh?
Utaar naqaab, utaar naqaab, hai kaisa samaaj yeh?
Utaar naqaab, utaar naqaab, hai kaisa samaaj yeh?
다양한 언어로 된 노래
모든 언어로 고품질 번역
몇 초 만에 원하는 텍스트를 찾으세요