Prashna Chinha - Gravity

Prashna Chinha - Gravity

Альбом
Prashna Chinha
Год
2018
Язык
`스와힐리어`
Длительность
156350

아래는 노래 가사입니다. Prashna Chinha , 아티스트 - Gravity 번역 포함

노래 가사 " Prashna Chinha "

번역이 포함된 원본 텍스트

Prashna Chinha

Gravity

Har sawaal ek jawaab ka mohtaaj hai

Har jawaab ka astitva ek sawaal hai

Par kya aisa koi hai sawaal jiska jawaab ek sawaal hai?

(Dharma jaat chhod tu, manushyata ka ban nabhi.)

Prashna ka jawaab hai ek sawaal jo hai prashna chinha

Prashna ka jawaab hai ek sawaal jo hai prashna chinha

Jite hum jo zindagi woh dekho kitni hai vibhinn

Prashna ka jawaab hai ek sawaal jo hai prashna chinha.

Kya ek sawaal ke liye, logon ne jaane gavayi hai?

Kaafi baar, toh kya vichaar, kyu na dikkar?

Hoti hatyaen, na aise hota koi jaanisaar

Na koi adhyaay, na kisi ko samjhi baarikta

Kya baalik naar? Nabaalik vaar, ab na yeh Shalimar!

Na Hindustan, na Pakistan, na hai saamajikta

Sawaal hai, swarth ya hai bina wajah ki kaalikh ka

Sab hai bikau, jaise yeh raaj kisi tawaif ka

Tabahi ka, yeh naya daur hua aarambh hai

Shanti ki zarurat, dikhta na Ashok stambh hai

Asmanjas mai hu main par koi aur na dikhta dangh hai

Sunaai na deta kuch bhi bas dikhta yeh laal rang hai

Khaya sabne kya hai badduaon ke alawa?

Seecha sabne khud hai yeh duaon ka chhalawa

Kehte mujhko neech aur adharmi aur shaitan

Kyuki kehta mai sachchai aur woh karti hai hairaan! Ha!

Jo karte paap unko kehte punya aatma hai

Ek roti baat kar woh ban jaata mahatma hai

Hai katl-e-aam karke fir banata raasta hai

Aise logon se mera na koi vaasta hai

Kala ke naam pe yeh bechte vaasna hai

Sabke paas gyaan, khana, paani aur koi aas na hai

Upar koi bhagwan nahi toh karte kisse prarthna hai

Woh hota upar toh sab kuch na hota aaj sa, yeh

Zindagi khel nahi par hum logon se khelte hai

Humse jo khelte hum unn logon ko jhelte hai

Issi wajah se aaj dilon mai sannatta hai

Jiske saath jaisa hota hai woh waisa hi ban jaata hai

Toh pehla hai sawaal, ke tu kaisa insan hai?

Dusra hai sawaal, tere kitne balidaan hai?

Teesra, teri harkaton se kitne pareshan hai?

Aur choutha, tere chouthe ke liye kaun betaab hai?

Inn chaaron ka jawaab hi banega ek sawaal

Woh sawaal aisa hoga jiska na hoga jawaab

Uss sawaal ka jawaab hai woh gyaan jisse paane ke liye naakaam hai yeh koshishe

tamam

Kya tere paas woh sawaal hai?

Tujhe kya mila woh jawaab hai?

200만 개 이상의 가사

다양한 언어로 된 노래

번역

모든 언어로 고품질 번역

빠른 검색

몇 초 만에 원하는 텍스트를 찾으세요